Skip to main content

Masanay Ki Kamzori Ki Alamat | Weakness Of Bladder | Masanay Ki Takleef In Urdu

Weakness Of Bladder - Masanay Ki Kamzori Ki Alamat

Weakness Of Bladder: Weakness of bladder (masana ki kamzori ki alamat - masana kya hota hai) commonly known as men problem. Contiously urine is pass. In Urdu, here you will read about weakness of bladder (Masanay ki kamzori ki alamat).

Table of Content
Masana Ki Kamzori Ki AlamatIn Roman Urdu
Masana Ki Bemari In Urdu
Masana Ki Takleef Ka Desi Ilaj In Urdu
Masanay Ke Mareez Ka Ilaj In Urdu
Masanay Ki Kamzori Ka Desi Ilaj

Masana Ki Kamzori Ki Alamat In Urdu

Masana Ki Kamzori Ki AlamatIn Roman Urdu

Mardo mein masanay (bladder) ke masail khasay am hai. Khususan 50 saal ki umar ke bad inhe in masail ka ziyada samna hota hai. Raat mein pishab karne ke liye bar bar uthna parta hai. Masana Ki Bemari In Urdu Masana Ki Takleef Urdu Masanay Ke Mareez Masanay Ka Ilaj In Urdu

Masana Ki Bemari In Urdu

Din mein bhi aksar be tab hokar toilet ki tararf dorna parta hai. Baz okat pishab shuru karen tou diqat mehsos hoti hai aur takhir hoti hai. Kabhi kabhi pishab ki dhar halki hoti hai aur kabhi pishab karne ke bad yun mehsos hota hai goya masana pori tarha khali nahi hoa.

Masana Ki Takleef Ka Desi Ilaj In Urdu

Ye masail khud ek mard ke liye tou zehmat aur pareshani ka sabab hote hi hai, lekin rafiq hayat ke liye bhi uljhan aur pareshani ka bais hote hai kiun ke jab dono mein se ek bar bar jag kar toilet jayega tou dosre ki neend bhi yaqeenan kharab hogi.

Masanay Ke Mareez Ka Ilaj In Urdu

Masane ke marezo ka din bhi acha nahi guzarta. Ye dharka laga rehta hai ke kia wo waqt pe toilet pohanch sakenge? khususan kam ke doran ye bat khasi pareshan kun bhi hoti hai aur aksar sharmindgi ka bais bhi hoti hai.

Masanay ke mareez ki koshish hoti hai ke hajat ke waqt toilet ke nazdeeq rahe. Nateja ye ke na wo sahi tareqe se tafrih sai karsakta hai na logo se mil jul sakta hai.

Masanay ke mareezon ke zehan pe har waqt yehi baat sawar rehti hai ke kahi toilet jane ki zarorat na par jaye.

Sawal ye paida hota hai kia masanay ki bemari ke ye mamlat shadeed noiyat ka hai? kia is ke liye kisi operation ki zarorat hogi? Ya ye surtan tou nahi? Ya aur ishi tarha ke dosre sawal zehan ko pareshan karte rehte hai.

Jaisa ke phele bataya gaya mardo mein masane se mutalik masail amm hai, lekin aksar inka taluq ghudae masana se hota hai. Ye ghudae mardana nizame tanasul ka ek hisa hai jo hajam mein akhrot ke barabar hota hai. Ghudae masana maqad ke samne masane ke bilkul nichay hota hai. Is ke mukhtalif kam hai. Iska ek kam aisa patla mada paida karne ka hai jo mani ya nutfa banane mein madad daita hai.

Ye pishab ki nali ko ghaire mein liye rakhta hai yani nali is ke darmiyan se guzarti hai. Ghudae masana amm halat mein pishab ki nali par kisi kism ka dabao nahi dalta aur pishab bila kisi dabao ya rok tok ke kharij hota rehta hai. 

Mard ki umar barhti hai tou ghudae masana bhi barhne lagta hai,lekin agar ye bohat ziyada barh jaye tou phir ye pishab ki nali ko dabana shuru kardaita hai. Bulkul isi tarha jaise kisi rubber ke pipe per lagi hoi chori ko kasa jaye tou wo pipe ko tang kardaiti hai.

Pishab ki nali per dabao parne se ye tang hoti hai tou pishab ka bahao aur akhraj mein rokawat hoti hai.

Maslan masane mein jalan hone lagti hai aur yun mehsos hota hai jaise pishab araha hai. Kuch arsay bad masana kam zor ho kar khud ko pori tarha khali karne ki salahiyat kko baithta hai ye halat benign hyperplasia prostatic khelati hai. Benign se murad khafif ya latif hai yani ye sertan nahi hai. Aur prostatic hyperplasia se murad ghudae masane mein fazil khaley paida horahe hai.

Dosre lafzo mein matlab ye hoa ke ghuda barh raha hai. Ye ek amm halat hai.dar hakikat masane ke masail mein mubtila ziyada tar mardo ko PBH hi se wasta parta hai. Amm tour se ye halat shadid noiyat ki nahi hoti, lekin baz okat is mein kafi kharabi paida hojati hai aur nobat yaha tak pohanchti hai ke pishab karna mumkin nahi rehta ye shadid aziyat dai halat hoti hai.

Lehaza hume shuru se hi isay nazar andaz nahi karna chaiye.albata pareshan hone ke bajaye moalat se ruju karen aur malom karen ke kia ye PBH hi hai.

Masanay Ki Kamzori Ka Desi Ilaj

Moalij ko alamat ke baray mein tafseel se batae aur mukamal kefiyat se agha karen.agar PBH khafif noiyat ka hota hai tou iski alamay kuch din mein khud ba khud khatam hojati hai. Iss surat mein moalij thora sa intezar karne ka mashwara daite hai.

Agar ye khafif noiyat ka na ho tou moalij akksar goliya tajweez karte hai.baz goliyo se ghuda sukhar jata hai, Lekin amalat per asar andaz hne ke liye kuch waqt darkar hota hai.kuch goliya ghurdae masana aur masane ke mun ke azlat ko sukon phoncha ke pishab ke akhraj ko asan bna daiti hai aur ye zod asar bhi hota hai agar goliyo ka asar na ho tou phir jurahi ka tariqa ikhtiyar karna hota hai ajkal lezar shuao aur rediyai lehro ke ziriye bhi ilaj kia jata hai.

Popular posts from this blog

Gastritis Ulcer | Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer In Urdu

Gastritis Ulcer Treatment Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer: Here you will read about Gastritis Ulcer treatment of homoepathic (zakham-e-maida) in Roman Urdu. The gastritis ulcer is usually 1 or 14-inch rear wall of the stomach wound, and a wound on the wall next to the stomach rarely occur. Which are very dangerous.  They can often cause injury to the intestine. The new wound is small, and its rim is clean cut feel so sore that has been cut with a knife. Wound surface is clean and smooth. But if an old wound that wound grows bigger and the other is good. This wound is very deep and never grows so deep that it is the hole in the wall of the stomach. Table of Content Gastritis Ulcer Ka Ilaj Homeopathic Se In Urdu Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer In Urdu Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer In Urdu Gastritis Ulcer Ka Ilaj Homeopathic Se In Urdu Issi marz mein amuman maiday ki pechalie dewar par ek do ya char anch ke zakam hota hain aur sahzonader maiday ki agle de

Canola Oil | Benefits | Cooking Oil | In Urdu

Canola Cooking Oil Canola Cooking Oil Benefits: Here we will discussed canola oil benefits and usage in life in Urdu. Cooking oil is used in our kitchens to fry or cook food. As far as its advantages are concerned it adds taste and flavor to dishes. It contains fats which are used by body to release energy which is needed for our daily work.  Its use is also very important in cold climates because fats contained in oil readily provide heat by burning calories and protects from cold.  Vegetable oil like olive oil, corn oil and sunflower oil are healthy because they contain polyunsaturated fatty acids which do not accumulate in body and do not cause high cholesterol levels in blood. But oil obtained from animal sources is very harmful; it is produced by melting of animal fat at high temperatures.  It cause the formation of clots in blood vessels and clog them and cause thickening of their walls and stop blood supply of organs resulting in high blood pressure, heart attacks and neu