Skip to main content

Benefits Of Aloe Vera | Aloe Vera Ke Faide | In Urdu

Aloe Vera Benefits And Wonder

Benefits Of Aloe Vera: Here you will read about benefits of aloe vera in Urdu. Aloe Vera is the ancient plant. Aloe Vera has many benefits for skin, face, health and diseases. In Urdu, we are disusing about benefits of aloe vera in our life. An innovative plant, scar on face, clean with Aloe Vera. Care of hairs with aloe vera. Cleaning of hand with Aleo Vera. Powerful from Aloe Vera. Irritation away from Aloe Vera.

Aloe Vera juice is very good for health. For the development of body use Aloe Vera daily. Aloe vera remove away acidity after drinking meal. Aloe Vera is also gaining weight after a long time sickness. Aloe vera away from many diseases. Aloe vera also care your teeth.

Table of Content
Aloe Vera Benefits In Roman Urdu
What is Aleo Vera?
Scar On Face, Clean With Aloe Vera In Urdu
Care Of Hairs With Aloe Vera In Urdu
Cleaning Of Hand With Aleo Vera
Powerful from Aloe Vera
Irritation Away From Aloe Vera
Aloe Vera Juice In Urdu
For The Development Of Body
Aloe Vera Remove Away Acidity In Urdu
Aloe Vera Away From Diseases In Urdu


Aloe Vera Benefits In Urdu

Aloe Vera Benefits In Roman Urdu

Aleo Vera Mein Kiya Hai?
Chehre Pe Daag
Balon Ki Hifazat
Jalan Door Karna
Dard Door Karna
Aloe Vera Juice
Drinking Aloe Vera Juice
Ghekware Kay Hirat Angez Faiday


An Innovative Plant
Aik Qadeem Poda - Jadeed Tahqeeq Ki Roshni Mein Aloe Vera. Hepatitis ke ilawa muta’addi bemarion mein bhi intahai mo’assar, Chehre ki tazgi, zulfon ki chamak aur khubsurat jild ka raz (Hakeem Qazi M. A. Khalid): Qudrat ne her she mein insane ke liye fawaid pinhan ker rakhe hain, lihaza koi bhi cheez aisi nahin hai ke jise ham fazool qarar de saken. 

Dunia mein hazaron ki tadad mein aese pode aur nabatat paye jate hain jin ke tibbi khawas ke bais unhen dawai podon ka darja diya ja chukka hai. Unhi mein se aik poda esa bhi hai jis ki afadiyat ko na sirf aaj ke tibbi mahireen ne tasleem kia hai, balke hazaron sal qabl bhi iss ki afadiyat se atibba agah the. 

Is baat ka suboot asar-e-qadeema ki jaded tahqiqat hain jin ke mutabiq qadeem misr mein ise “hayat-e-jawidani ka poda” kaha jata tha aur iss ke istamal ke baqaida shawahid bhi mile hain. 

Is pode ko Urdu mein “gheekwar” aur angrezi mein alovera (ALOE VERA) kaha jata hai. Duniya bhar mein iss ki panch so se zaid aqsam pai jati hain. Aloe Vera ka asal aabai watan Africa hai. 

Hazaron sal qabl ye Sodan aur Wadi-e-Neel ke balai hisse mein wafer midar mein paya jata tha aur yahen se ye jazair gharb-ul-hind, baheera-e-room ke mumalik, Hindustan, cheen aur dusre mulkon tak pohuncha. Pakistan mein bhi ye wafer miqdar mein paya jata hai. 

Duniya ke taraqqi yafta mumalik mein ise muashi aitbar se nihayat ahmiat hasil hai. Aloe Vera ka poda zameen se nisf gaz tak buland hota hai. Is ke patte dabeez, kinaron se khanjar ke misl, dandane dar aur gehre sabz rang ke hote hain. Ye zameen ki satah se nikalte waqt chore hote hain aur jun jun bare hote hain, balai satah se patle hone lagte haina aur in ke andar les dar, be bu, karwa aur chipakne wala gooda bhara hota hai.

What is Aleo Vera?

Aloe Vera ka 96 feesad hissa pani, jabke baqi hissa qudrati ajza-o-murakkabat yani amino acids, madniat aur hayateen waghera per mushtamil hota hai. Atibba aur jadeed tibbi mahireen ka iss bat per ittafaq hai ke jaraseem kush ajza ki badolat agar jal jane wali jaga ya jild ki kharish per gheekwar lagaya jae to aabla nahin perta aur isi tarah jild ki kharish ko bhi door karta hai.

Scar On Face, Clean With Aloe Vera In Urdu

Chehre ke keel aur daag muhason per rozana chand hafton tak iss ka gooda nikal ker lagaya jae to kuchh hi arse mein keel muhase khatam ho jate hain aur chehra khubsurat aur jild saf shaffaf ho jati hai.
Aloe Vera Gel
Gel lagane ka tareeqa ye hai ke aloe vera ka eik pode se aik patta tor len, isse daba ker iss ka gel nikal len aur Chehre per laga ker adhe ghante baad mun dho len.
Khwateen zachgi ke baad pet per par jane wale nishanon per iss gel ka laib keren. Kuchh hi arse mein nishanat khatam ho jain ge. 

Aaj kal rangat nikharne wali karimon, sabun, shampoo aur shaving karimon mein iss ka istamal aam hai. Aap ghar mein gheekwar ka aik poda laga len aur iss se khoob faida uthain. Chehre ki rangat nikharne ke liye hafte mein do bar gheekwar k eras mein thora sa roghan-e-zaiton aur roghan-e-badam mila ker Chehre per leep karen aur do ghante bad chehra dho len.
Mustaqil kuch arse tak ye amal keren. Jild saf, shaffaf aur chamakdar ho jae gi. Ghusl se adh ghante qabl gheekwar ka ras balon mein lagain to iss se khushki aur sar ki jild per ho jany wale dane khatam ho jate hain.

Care Of Hairs With Aloe Vera In Urdu

Aloe Vera se bal ghane, mazbut aur chamakdar ho jate hain. Agar koi zehreela keera kaat le to gheekwar ke patte ko kaat ker iss ke gooday ko mutassira hisse per lag alia jae to zeher ka asar khatam ho jata hai. Jild sozish se mehfuz rehti hai aur zakhm bhi nahin hota.

Cleaning Of Hand With Aleo Vera

Haathon ke khurdare pan aur sakhti ko door kerne aur mulaim aur khubsurat banane ke liye ye tariqa aazmain. Adha cup gandum ka choker len aur iss mein aik khane ka chamcha gheekwar ka arq shamil ker ke blender mein daal ker blend ker len aur iss aamezay ke teen minute tak haathon per massage keren. Phir subha uth ker haathon ko neem garam pani se dho len. Ye amal rat ko sotay waqt keren to behtar hai kewnke massage ke baad aap pani mein haath nahin dal sakte. Haath ki safai rozana karni chahaye.
Chand roz mein aap ke haath mulaim aur khubsurat ho jain ge.

Powerful from Aloe Vera

Aloe Vera nazar ko taqatwar banana mein be-intaha mufeed hai. Is ke liye gheekwar k epode ka aik tukra kaat ker ise chheel len aur iss ka chhilka utaar ker aik barey chamche ke barabar gooda nikal len, aur ise nigal len, chabane ki zarurat nahin, kewnke ye bohut karwa hota hai.
Rozana subh-o-sham khali pait tawatar se do mahine tak istamal keren. Aloe Vera ka poda apne andar be panah tibbi fawaid ka khazana rakhta hai. Hal hi mein ki gai aik tahqeeq ke mutabiq iss pode ko jild per lagane se bohut se musbat fawaid samne aaye hain.

Irritation Away From Aloe Vera

Is pode ko lagane se jalan door khatam ho jati hai. Is ka andruni istamal mun ke zakhm aur muta’addid sartanon mein bohut mufeed paya gaya hai. Maghrib mein log sehat ke sath sath apni zahiri shakl-o-surat aur khubsurati ka bhi bohut ziyada khayal rakhte hain. 

Khas taur se khawateen apne Chehre ki tazgi, balon ki chamak aur nakhunon ki mazbuti ke liye mukhtalif aqsam ka araishi saman aur karimon ke istamal ke sath sath hayateen ki golian bhi leti hain. Jari bootion se tayyar karda in ashiya ki mang tezi se barh rahi hai. 

Is zimn mein gheekwar ka nam bohut sun-ne ko milta hai. Jab aap kisi adviyya ya araishi saman ki dukan per jain to aap dekhen ge ke wahan mojood khawateen gheekwar se bani masnuat hi talab kar rahi hoti hain. 

Aloe Vera aik aisa qadeem poda hai jis ka zikr bible mein milta hai aur ise aik muqaddas aur shafa bakhsh pode ki hesiat hasil hai. Is ke an-ginat fawaid se maghrib bhi inkari nahin, balke ham se ziyada iss ka motaqid hai. 

Aloe Vera ke gel ka sukhaya hua satt aelo ki shakal mein sadiyon se mustamil aur beshtar qadeem unani murakkabat ka juzw hai. 

Misr ki fir’owni tehzeeb ke daur mein alua lashon ko mehfuz kerne ke liye istamal kia jata tha. Jildi amraz, nasoor, me’edy ki kharabi, dant ke dard, bal jharne ya sar ki khushki, joron aur pathon ki bimarion, khas taur se soojan aur sozish ke ilaaj mein elwa nihayat mufeed sabit hota hai.
Aloe Vera ke patton ki jild ya beruni jhilli mein dar-asal bohut talkh gooda jise ALOIN kehte hain, jama hota hai, iss liye jild samait iss goode ko khawateen ke araishi saman ki tayyari mein istamal kia jata hai, jabke ghizai zameemon, muta’addid unani adviyya aur juice ki tayyari mein, iss ke patton mein paye jane waly gooday ya iss k eras ko istamal kiya jata hai.

Aloe Vera Juice In Urdu

Duniya bhar mein gheekwar ke goode se tayyar karda aloe vera juice ko iss ke be-shumar fawaid ki waja se bohut pasand kia jata hai.
Ye amr khush-aaind hai ke Pakistan mein bhi alami mayar ke mutabiq in masnoo’aat ki tayyari aur farokht ho rahi hai. Aloe Vera ke mana’e’takseed juice quwwat-e-mudafiat mein be-intaha izafa karte hain. 

In ka istamal Hepatitis-B, C aur degar mut’addi bimarion se bachao mein mo’assar kirdar ada karta hai. Jigar ki taqwiyyat aur digar amraz-e-jigar mein sainsi taur per gheekwar ke juice ki afadiyat ko parkha ja chukka hai. Aloe Vera ke juice ko bezarar tawanai bakhsh juice bhi kaha jasakta hai.
Isi liye ye juice khilarion, jawanon aur zinda dil afrad mein intahai maqbool hain. Aloe Vera se mut’alliq sains ke aik alami idare ne bhi mohr-e-tasdeeq sabt ker di hai ke gheekwar ke goode se tayyar karda juice insane sehat ke liye qudrat ki ain mansha ke mutabiq hain. In juice ko peene se darj zail fawaid hasil kiye ja sakte hain.

For The Development Of Body

Amino Acid aik namiyati murakkab hai, jis mein NH2 ka acid aur kam se kam aik karbaksail group mojood hota hai. Amino acids hamaray jism ki nashonuma karte hain.
Aath qism ke amino acids hain jo insane jism ki afzaish ke liye naguzeer hain aur jism unhen paida kerne se qasir hai. Ye sab gheekwar ke pode mein mojood hain.
Aloe Vera ke mashroob ko baqaida peene se aap ki sehat barqarar rehti hai aur jism ko darker aath qism ke amino acids bhi qudrati andaz mein muhayya hote hain. Aik jaezay ke mutabiq ye sabit hua hai ke amino acids ki kami ko pura kerne ke liye gheekwar ka nem-ul-badal koi bhi poda mojood nahin.

Aloe Vera Remove Away Acidity In Urdu

Aloe Vera mein degar kai mufeed anasir ke ilawa bara qudrati anasir aese hain jo bagher kisi jismani nuqsan (Zimni asarat) ke, tezabiat ko khatam kerte hain. Is ke ilawa gheekwar joron ko theek rakhne mein madadgar aur uzlaat ki harkat ko behtar karta hai.
Hayateen ke liye yomiya khurak: Aloe Vera mein bohut se hayateen shamil hain, jese A, B1, B2, B6, B12, C aur E. Iss ke ilawa iss mein folic acid, hayateen B complex ka aik juzw jo sabz paton aur phalon mein paya jata hai aur naya sin (hayati kemia) bhi shamil hain.
Insane jism chonke in tamam hayateen mein se kuch ka zakhera kerne se qasir hai, iss liye hamen chahie ke esi izafi khurak ko rozana istamal Karen jo hamare jism ko darkar hayateen ki zaruriat puri karti rahe. 

Is kami ko pura kerne ke liye gheekwar ki rozana khurak se behtar koi tareeqa nahin, kewnke gheekwar hayateen ki kami puri kerne ke sath sath oxygen ki kami ko mutwazin rakhne ke liye qudrati tareeqe se aap ke jism ke difayi nizam ko bhi taqwiyyat deta hai. 

Jism ko darkar qudrati ma’adniat ke liye yomia khurak: Aloe Vera mein calcium, sodium, iron, potassium, magnesium, menganiz, tanba aur zink waghera shamil hote hain, yani taqatwar anasir ka zabardast imtazaj hota hai. Ham sabhi jante hain ke behtar sehat ke liye hamesha aise hi qudrati anasir ko shamil-e-khurak kerne ke liye mashwara diya jata hai jis mein hayateen aur ma’adniat hon.
Aloe Vera ke mashroob ka istamal qudrati taur per sehat bakhsh hai. Is liye ke ye jism ko darkar hayateen aur ma’adniat ki zaruriat pura karta hai.

Aloe Vera Away From Diseases In Urdu

Aloe Vera beemari se mehfuz rakhne ke nizam mein insane ki qudrati andaz ze muawinat kerta hai. Insane ka difayi nizam chonke jism ki hifazat ke liye chobees ghante kam kerta hai, iss liye gheekwar taba’i tareeqe se hifazati nizam mein izafe ki salahiat ke sath jism ko lagatar difai imdad baham pohunchata rehta hai. Takay hisb-e-zarurat difai zarurat puri hoti rahe.
Lihaza difai nizam ki taqwiyyat ke liye baqaidgi se gheekwar ka istamal kijiye. Nizam-e-hazam mein muawinat kerta hai: me’ade ki nalion (qanat-e-hazima) ke sehat mand hone se ye yaqeen pukhta ho jata hai ke ham jo khurak kha rahe hain, us ki ghizaiyat, gardishi nizam ke tehet khoon mein jazb ho rahi hai, gheekwar mein ye salahiat hai ke ye qudrati taur per aik taryaq yani zehermaar ki hesiat rakhta hai. 

Aloe Vera ka mashrub pabandi se peene ki ajabat bafaraghat hone lagti hai, aur lahmiat ko jazb kerne ki salahiat barh jati hai. Jabke iss ke sath sath gher-mawafiq bacteria aur khameer mein bhi kami waqe’ hoti hai aur ye sab amal qudrati taur per hotahai. 

Is ke ilawa gheekwar ka istamal seene ki jalan aur deegar qism ke hazmay ki kharabion ko kam kerne mein muawin hai.

Comments

Post a Comment

Thank You For Comment

Popular posts from this blog

Masanay Ki Kamzori Ki Alamat | Weakness Of Bladder | Masanay Ki Takleef In Urdu

Weakness Of Bladder - Masanay Ki Kamzori Ki Alamat Weakness Of Bladder: Weakness of bladder (masana ki kamzori ki alamat - masana kya hota hai) commonly known as men problem. Contiously urine is pass. In Urdu, here you will read about weakness of bladder (Masanay ki kamzori ki alamat). Table of Content Masana Ki Kamzori Ki AlamatIn Roman Urdu Masana Ki Bemari In Urdu Masana Ki Takleef Ka Desi Ilaj In Urdu Masanay Ke Mareez Ka Ilaj In Urdu Masanay Ki Kamzori Ka Desi Ilaj Masana Ki Kamzori Ki Alamat In Urdu Masana Ki Kamzori Ki AlamatIn Roman Urdu Mardo mein masanay (bladder) ke masail khasay am hai. Khususan 50 saal ki umar ke bad inhe in masail ka ziyada samna hota hai. Raat mein pishab karne ke liye bar bar uthna parta hai. Masana Ki Bemari In Urdu Masana Ki Takleef Urdu Masanay Ke Mareez Masanay Ka Ilaj In Urdu Masana Ki Bemari In Urdu Din mein bhi aksar be tab hokar toilet ki tararf dorna parta hai. Baz okat pishab shuru karen tou diqat mehsos hoti hai aur takh...

Canola Oil | Benefits | Cooking Oil | In Urdu

Canola Cooking Oil Canola Cooking Oil Benefits: Here we will discussed canola oil benefits and usage in life in Urdu. Cooking oil is used in our kitchens to fry or cook food. As far as its advantages are concerned it adds taste and flavor to dishes. It contains fats which are used by body to release energy which is needed for our daily work.  Its use is also very important in cold climates because fats contained in oil readily provide heat by burning calories and protects from cold.  Vegetable oil like olive oil, corn oil and sunflower oil are healthy because they contain polyunsaturated fatty acids which do not accumulate in body and do not cause high cholesterol levels in blood. But oil obtained from animal sources is very harmful; it is produced by melting of animal fat at high temperatures.  It cause the formation of clots in blood vessels and clog them and cause thickening of their walls and stop blood supply of organs resulting in high blood pressure, heart a...

Gastritis Ulcer | Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer In Urdu

Gastritis Ulcer Treatment Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer: Here you will read about Gastritis Ulcer treatment of homoepathic (zakham-e-maida) in Roman Urdu. The gastritis ulcer is usually 1 or 14-inch rear wall of the stomach wound, and a wound on the wall next to the stomach rarely occur. Which are very dangerous.  They can often cause injury to the intestine. The new wound is small, and its rim is clean cut feel so sore that has been cut with a knife. Wound surface is clean and smooth. But if an old wound that wound grows bigger and the other is good. This wound is very deep and never grows so deep that it is the hole in the wall of the stomach. Table of Content Gastritis Ulcer Ka Ilaj Homeopathic Se In Urdu Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer In Urdu Homeopathic Treatment Of Gastritis Ulcer In Urdu Gastritis Ulcer Ka Ilaj Homeopathic Se In Urdu Issi marz mein amuman maiday ki pechalie dewar par ek do ya char anch ke zakam hota hain aur sahzonader maiday ki agl...