Ginger Benefits
Ginger Benefits In Urdu : Here you will read about Ginger Benefits In Roman Urdu. As put ginger, vegetables, vegetable sauce May use is professional.
Table of Content
Ginger Benefits In Roman Urdu
Ginger Benefits In Roman Urdu
Ginger Benefits
Adrak Ke Faiday
Adrak singarhony main sonth ko ghee main bariya kar k surk ho jaye lakin jal na jaye chach k humra din main 2 teen martba khilana faida karta hai. Is ka murab bhi banya jata hai. Naiz is ko mokwi ba majonat main shamil karta hain. Kharji tor par sardi kay dardo falij wagra main is ko degar adwiya k humra kisi tahl main jala kar malish karta hain. Zanjeal bariya ek tola namak tahum 3 masha mila kar dantu per malnay say danto ki tarshi rafa ho jati hai. Gair sami adrak ko agar ap shahad k sath mila kar chatain to sardi wali khansi say hairat angaiz had tak nijaat mil jati hai. Masoray kay marz badi k bahis phool jata hain or beh had taklif da hotay hain. Dahar k nichay adrak ka tukra lay kar chaba lijiyeh or is k andorony roksar ki janeb dabaye. Is tara masohro say badi pani kharij ho jata hai or dard ko shifa mil jati hai.
Adrak aam tor par daal, saag, sabzi or chatni may istemal ki jati hai. Sukh janay per sonth kahlati hai dawa k tor par is tara istemal kya jata hai.
Khansi dama, adrak ka ras aik chatank, shahad aik chatank mila kar zara sa garm kar k pe lay. 7 roz may aram ho ga.
Kami bhok, bhok achi tara na lagti ho pait may reha bhari hoi ho qabz rhta ho to adrak ko tarash kar reza reza karen or opar say namak charak kar aik 2 masha khae bhok achi tara lagay gi. Reha kharij ho gi or qabz rafa ho jay gi.
Choran hazam, hazama ko durast karta hai maiday ko taqaat bhakshta hai dard shakam or khati dakaro ko az had mufeed hai. Sonth or ajwaen hasabay zarorat la kar ab adark or is kadar dalay k adweyat tar ho jaye or saye may khoshk kar k bareek pees kar kadray namak mila kar mahafuz rakay. Dono waqat 4 raati say aik mashay tak pani k humra diya karay. is choran k istemal say maiday ki tamam kharabiya dur ho kar bilkul sahet khuli hasil ho gi.
Anflonheza, safof sonth aik chatank, safof papli nisf chatank ka kara sangi 3 chatank anflonheza ki khansi ko roknay k liyeh aik say dair masha yeh safof thora shahad k saat 3 bar chatayeh.
Kaah, adark or piyaz ka ras mila kar peenay say kaah band ho jati hai.
Awaz baht janay per adrak ka ras or shahad mila kar chatna chayeh.
Nazla O zukaam, adrak ko cheheel kar is ko bareek tarash lay or karahi may ghee dal kar is may bhonay. Is k bad adrak kay barabar wazan khand ki chashni may milaey. Or pakaei jab kowaam durst ho jaeay to sonth zeera safad mirch siya naag kesar jawtri elaichi korad taj patrij pepal dhaniya zeera siya peepla mol babarang har aik adrak ka barwa hisa lay kar kot chan kar milai or mahfuz rakay mikdar may khoraak 2 mashay say aik tola tak hai.
Fawaid zukam o nazla may mufeed hai. Sardi ki waja say awaz baht jai tu is ko kholta hai. Dam pholnay ki shikayat is k istemal say dur ho jati hai bhook khub lagti hai pait ka dard or rehai shikayet jati rhati hai.
Dard rehai, sonth dahai tolay neem kob kar k 3 pao pani may adhay ghantay tak pakai is k bad chaan lay or adhi adhi chatank ye joshanda teen teen ghantay kay waqfay say 4 martaba pilai. Dard rehai ka ye khas elaj hai.
Sangrahni paches bad hazmi safof sonth aik chatank sonf aik chatank safof harar aik chatank khanda peesi howi 3 chatank bad hazmi k dast, sangrahni paches or maiday ki kamzori may aik mashay tak din may 2 bar dye.
Gobi may adrak ki mojoodgi lazmi hai or is ko jis salan may bhi milaya jai wo salan pur lotf
ho jata hai isay is liyeh salan ka aik masala bhi kha gaya hai. Ye khana may lutf paida kar deta hai jo zaiqae or khusbo kay lehaaz say bhi nomaya hota hai adrak khanay ko hazam karnay may mawan hai. Ye qabz torta hai.
Nafka ko pait say dur karnay may kamiyab hai. Maiday may rotubatain or balgam ko khatam karnay may adrak sab say behatar sabzi hai. Is k saat saat ye jigar ko nai taqat deta hai. Balgam dur karna k liyeh adrak dawa or giza dono surato may behad mufeed hai.
Maiday may rotubatain jama ho kar jin logu ka pait bhara deti hain or wo motay ho jate hain. Un k liye adrak aik behad mufeed or kaar amad sabzi hai. Asay log adrak aik tola lay or usay bareek kotar kar or toway per zara sa pani dal kar usay bohon lay or jab ye pani khushk honay lagay tu chamcha bahar ghee dal kar usay bohon lay or roti k humra us bahtor salan khalay. Ye behad faida dai ga. Is ka is tareeqay say mosalsal istemal pait ki rotubatain khatam kar deta hai or insan ko mota pay sai nijat mil jati hai. Adrak ko ghee may bohon kar chini mila kar istemal karay. jism k moktalef dardo or kamar dard ko shifa hasil hoti hai or is tara is k istemal say jism may garmi or taqat paida ho jati hai.
Adrak maiday or aantareo k sabhi amraz may behad mufeed hai. Usay khana sai bhok lagti hai. Nafka shakam or pait ko aram milta hai. Adrak dimaag k amraz or dimaag k liye behad mufeed hai. Adrak ko ghee may bohon kar surk kar lay magar is kadar k ye jal na jai. Har roz lasi k humra 4 say 5 tola usay istemal kary. sangrhi ka marez is sai yaqenan shifayab ho ga. Adrak ka muraba khana or jaifal chosty rhnay say fahlij ka marez shifa hasil karta hai. Adrak ka arq nikal lay or usay shahad may mila kar bachay ko dain. Khansi ka khatma ho jaye ga.
Adrak lay or is ka ras nikal kar shahad may mila lay ye chatnay say sardi or balgami khansi ko aram a jata hai. Or chahti ka dard bhi is say dur ho jata hai. Pait dard k liyeh adrak ka muraba sabhi dawaiyu say ziada faida mand hai. Reha ko kharij karta hai or gurdo o masana ko taqat deta hai. Adrak monasib mikdar may istemal karay. zaida mikdar may istemal karna say apni taser yani garm wa khoshk zahir karay ga. Magar majmoi tor par adrak kisi bhi marz may baray asrat mrtab nahi karta. Adrak garm khoshk hai adrak maiday or aantario k amraz may bohot mufeed hai.