Acupressure For Women In Urdu |
Acupressure For Women Treatment
Acupressure For Women Treatment: Acupressure is good for women's health. Acupressure, acupuncture there is also a attributed role. In acupuncture, use needle but in acupressure do not put a needle, but is pressured by hand. Here you will find Acupressure For Women in Roman Urdu
Acupressure For Women Treatment: Acupressure is good for women's health. Acupressure, acupuncture there is also a attributed role. In acupuncture, use needle but in acupressure do not put a needle, but is pressured by hand. Here you will find Acupressure For Women in Roman Urdu
Table of Content
Acupressure For Women In Urdu
Experiment Of Acupressure Treatment In Roman Urdu
Acupressure For Women In Urdu
Acupressure khawateen (women) Kay Liye In Urdu
Acupressure khawateen ke liye bhi mufeed. Acupressure, acupuncture bhi ka ek nisbatan halka roop hai. Acupuncture mein jism ke maqsos makamat per soi dakhil ki jati hai jab ke acupuncture mein soi ke bajaye hath se dabao dala jata hai. Is amal se bhi woi faiday hasil hote hai ke jo equpancture se hote hai.
Acupressure For Women In Urdu
Experiment Of Acupressure Treatment In Roman Urdu
Acupressure For Women In Urdu
Acupressure khawateen (women) Kay Liye In Urdu
Acupressure khawateen ke liye bhi mufeed. Acupressure, acupuncture bhi ka ek nisbatan halka roop hai. Acupuncture mein jism ke maqsos makamat per soi dakhil ki jati hai jab ke acupuncture mein soi ke bajaye hath se dabao dala jata hai. Is amal se bhi woi faiday hasil hote hai ke jo equpancture se hote hai.
Tib chin ka shumar duniya ke qadeem tareen ilaji nizamo mein hota hai. Waqt guzarne ke sath tehqeeq-o-tajarbat is tib ki fadiyat aur ehmiyat mein izafa karahe hai.Is ki maqbuliya barhti jarai hai. Acupuncture acupressure aur khas tour par duniya bhar mein maqbuliyat hasil karahe hai. Tib chin ke mutabiq insani jism mein tawanai apne makhsos rasto per daurti aur gardish karti rehti hai.
Tab chin mein isay “chi” kaha jata hai.Jism ke jis maqamat per tawanai ki ye leher kamzaur hojati hai waha dard o takleef hoti hai. Is jaga soi dakhil karne se “chi” ki rawani bahal hojati hai. Jism mein is ke 100 se ziyada aise maqamat hai ke jaha soi ya dabao ke istemal se marez ko roba sehat kiya jasakta hai.
Ye amal “chi” ke rastay khol daita hai jis ke bad wo mamol ke mutabiq rawa rehti hai. Uski yehi rawani bahaliye sehat ka sabab banti hai.
Jadid theqeq se ye sabit hogaya hai ke acupressure se ek ya usay ziyada makhsos makamat per dabao ke parne se jism mein dard daur karne wale kimiyai juz ki tayari barh jati hai.Tib jadid ke mutabiq ye juz andaurfun khelata hai (endorphin).
Endorphin ki tayari mein izafe se hi dard aur takleef kafaur hojati hai. Irani tajarbat. Iran mein is silsilay mein khasay tajarbat ho rahe hai, jinse acupressure ki afadiyat ki tazdeeq bhi haurai hai.
Aise hi ek mutale mein irani theqeq karo ne tajarbati tour per 216-nu umar khawateen (women) ke 3 group banae. Un mein se ek group ko dard daur karne wali dawa (ibuprofen) khelai gai dosre kailaj acupressure se ki gaya.3 group ke jism ke un maqamat par dabao dala gaya ke jo tib chin ke mutabiq dabao ke makamat (pressure point) nahi hote.
Iss tajarbe ka maqsad un khwateen (women) ko aiyam se kabal la haq hne wali takleef aur dard se nijat dilana tha. Is tajarbay mein ye bat daikhi gai ke muqarara makam per dabao ki waja se wohi faida hoa ke jo dard dur karne wali dawa, ibuprofen se hasil hota hai.
Dabao ke mukarara makamat se hat kar dabao dalne se faide ki shara nisbatan kam rahi. Sahi maqam per dabao aur dard dur karne wali dawa se faide ki shara 58 fisad aur durust maqam se hat kar dabao ya pressure se faide ki shara 27 fisad rahi.
Zere tajarba khawateen ne aitraf kia ke equpressure ki waja se unki takleef mein 72 fisad kami hoi.
Experiment Of Acupressure Treatment In Roman Urdu
Taiwan mein hone wale ek tajarbe mein 69 mareez khawateen (women) mein se kuch ka ilaj acupressure aur baki khawateen ka sirf bister mein aram se kia gaya dard ki pheli leher ke mehsos hote hi, chi, ke makhsos aur mukarara makam per 20 minute tak dabao dala gaya.
Mualigine ne is tajarbay mein takleef mein mubtila khawateen (women) ke tkhne se 3 ungle upar ke makam per pair ki hadi ke anduruni hisay ko 6 second tak anghute se dabaya aur phir 2 second ke liye anghuta us jaga se hata diya.Unhone dono pairo ke usi makam per 5,5 minute dabao ke do chakar paure kiye.
Un khawateen (women) ne us amal se apne dard mein 40 fisad kami ka aitraf kia,jab ke bister pe aram karne wali khawateen ne dard mein sirf 26 fisad kami batai.Is amal mein dabao dalne aur hatane se dard mein numaya kami se equpressure ki afadiyat sabit hoti hai.
Anduroni takhne se 3 ungle upar unghote se dabao barhane aur phir hata daine ke is amal ke dhurane se aiyam se phele ki taklef mein mubtila har khatoon aram pa sakti hai. Ye ek be zarar aur sehal ilaj hai.